AYE ZINDAGI LYRICS & VIDEO - SATYAMEV JAYATE

Ram Sampath in Satyamev Jayate
Aye Zindagi: Lyrics & Video of Aye Zindagi Song from 9th episode of Aamir Khan's show Satyamev Jayate named Alcohol Abuse.Aye Zindagi song is sung and Composed by Ram Sampath while Lyrics are penned by Munna Dhiman.

In 9th episode of Satyamev Jayate Aamir Khan talks about alcohol abuse and how a person could ruin his life and the lives of the people related to him.
Enjoy Aye Zindagi Music Video with Lyrics

Aye Zindagi Lyrics

Video: Aye Zindagi


Aye zindagi tu hi bata
Khoya hai jo paaun kahaan
Har bhool ko maafi mile
Roothe palon ko main laaun manaa

Naa jaane kitni hansti aankhon ke
Saare sapne chheen liye maine
Saaye hain chheene kitne saron se
Aur kitne ghar phoonk diye maine
Naa jaane kitne rishton ki dor
Main kaat ke aaya hoon
Itni baatein bhoolun main kaise
Kaise main khud ko apnaaun

Aye zindagi tu hi bataa
Khoya hai jo paaun kahaan
Har bhool ko maafi mile
Roothe palon ko main laaun manaa

Hoo aankhein bhi khuli, maaloom tha sab
Sab kuch hote dekh raha tha main
Phir bhi naa kuch bhi roka maine
Jaane kis lehar baha tha main

Kaash yeh sab ik khwaab hi ho
Aankh khule toh sab theek mile
Bojh yeh bann ke jaaye utar
Dil yeh mera phir se khile

Aye zindagi tu hi bata
Khoya hai jo paaun kahaan
Har bhool ko maafi mile
Roothe palon ko main laaun manaa